kya chahu main na jaane kya chahu main, koi jo sachha ho.. koi jo achha ho.. par hain kaun vo na jaanu mai.. kabhi is sapne ke peeche bhaagu, kabhi us khwab ko paana chahu, kabhi sabse door kahin chup jaana chahu.. kabhi khushi ki dhaar fut padti hai, kabhi udaasi achanak gher leti hai, kabhi titli saman udta hai mann. kabhi pinjre mai band parinde sa fadfadata hai, kabhi ujalon se khayal mehkte hain.. kabhi makdi ke jaalon se ulajhte jaate hain, jaane kya chahu mai jaane kya maangu mai, jo hai vo bhi chahu, jo nahi hai vo bhi pana hai, jaate hue kal se.. kuch muskurahte chura loon... sahej loon unhe aane wale pal ke vaste kabhi uchak kar aasman choona chahun kabhi saayon se darr ke,kono mai dubak jaun... man -mastishk dono mai dwand hai... khoj loon kitna bhi par fir bhi na jaanu ki kya chahun mai.. kya kya na kar jaaun.. kis kis se na ladd jaun .. bas koi jo mujhe bata de.. ki kya chahun mai. -mridula 22-6-2011

Comments

Popular posts from this blog

सच!